Ghazals & Poems

Suno......! Hum toot jayein ge,

Suno......!
Hum toot jayein ge,
ke doorie seh na payein ge,
Judaai maar daalay gi..
Suno......!
Yeh aankhein bojhal hain,
Inhein kis tarah behlayein ge,
judaai maar daaley gi .......!
Suno......!
Hm so na payein ge,
kabi khush ho na payein ge,
Judai maar daley gi....
Suno......!
Yeh dil tmhara hy,
Na tm bin ab guzara hy,
Suno......!
Kuch waqt do hm ko,
Bana lein dost iss gham ko,
Hamein maloom hy akhir,
Judai maar daley gi

-----------------------

Kahin milay to yeh us se kehna

Kahin milay to yeh us se kehna,
K tanha sawan bita chuka hoon,
Main saray arman jala chuka hoon,
Jo sholay bharke the khawhishon k
woh ansuon se bhuja chuka hoon,
Kahin milay to yeh us se kehna k
bin us k udas hoon mein,
Badalti rut ki qayas hun mein,
Bhuja de apni mohbbaton se
sulagti sadion ki piyas hun mai.

---------------------------

Main Dil Se Baatain Krta Tha

Main Dil Se Baatain Krta Tha,
Dil Mujh se Baatain Krta Tha,
Main UsKi Sunta Rehta Tha,
Wo Meri Sunta Rehta Tha,
Hum Dono Apni Apni Baatain
Ek Doje Se Kehte Thay,
Or Ek Dosre Ki Baaton Per,
Hum Dheron Hanste Rehte Thay,
Main Dil Ka Dost Hi Acha Tha,
Dil Mera Dost Hi Acha Tha,
Wo Mere Dard Ko Sehta Tha
Main Us K Dard Ko Sehta Tha,
Phir 'DIL' Ne Mujh se Chaal Chali,
Wo Teri Raah Pe Chal Nikla,
Ab Main B Rota Rehta Hon,
Or Dil B Rota Rehta Hai..

-----------------------

Muhabat khwab hoti hai

Muhabat khwab hoti hai
Muhabat baat hoti hai,
Agr koi poch bethy to muhabat raz hoti hai,
Machalti hoi umangon ka suhana sath hoti hai
Agr koi dhondna cahy to mohabat
"NAYAB" hoti hai,
Muhabat yun b hoti hai
karb_a_zaat hoti hai,
Muhabat phool hai shayad
Ghamon ki dhol hai Shayad

------------------

Teri Chahat Me Hum Zamana Bhool Gaye

Teri Chahat Me Hum Zamana Bhool Gaye,
Tere Baad Kisi Ko Apnaanaa Bhool Gaye,
Phir Laga Sara Jahan Weerana Hum Ko,
Jese Chaman Me Phool Mehknaa Bhool Gaye,
Tum Se Mohabat He Bataya Saare Jahan Ko,
Yehi Baat Tum Ko Batana Bhool Gaye,
Hum Ne Mita Diya Jahan B Likha Tha Naam Tera,
Magar Apne Dill Se Mitana Bhool Gaye,
Wo Juda Huway Hm Se Muskrate Huway,
Magar Apni Palkon Se Aansu Hattana Bhool Gaye,,,,,!

---------------------------

ye zärä zärä si bäät pe tärhä tärhä k äzäb kyun?

ye zärä zärä si bäät pe tärhä tärhä k äzäb kyun?
Jo kisi se b khäfä nä ho
mujhe us KHUDA ki täläsh hy
Mujhy lärzäshon pe här ghäri
koi toktä häy bär bär?
jisäy kär k dil ko dukh nä ho
mujhäy us GUNAH ki tläsh häy
binä humsäfär k käb tläk
koi musäfton men lägä rhäy?
jähän koi kisi se judä nä ho
mujhäy us RAHH ki täläsh häy
Mujhäy dekh kär jo äik näzär
meräy säräy därd sämäjh säkäy!!
jo es qädär ho chärä-gar
mujhäy us NIGAH ki täläsh häy

---------------------------

Ab kia likhen hm kagaz pr

Ab kia likhen hm kagaz pr
ab likhne ko kia baqi he
Ek dil tha wo b toot gya
ab totne ko kya baqi he
Ek shakhs ko hm ne chaha tha
ik rait pe naqsh bnaya tha
wo rait to kb ki bikher gai
wo naqsh kahan ab baqi he
Hm jinko apni nazmo ka
unwan bnaya krte thy
lafzo ka bana k taj mahal
kagaz pe sajaya krte thy
wo hm ko akela chor gya
sub rishto se mon mor gya
ab rastay sare sunay hain
wo pyar kahan ab baqi he
Ab kya likhain hm kagaz pr
ab likhne ko kia baqi he!

-------------------------

Teray qareeb aa k bari uljhano main hoon......

Teray qareeb aa k bari uljhano main hoon......
Main dushmano main hoon k teray doston main hoon......
Badla na meray baad b mouzu-e-guftagu......
Main ja chuka hoon phir b teri mehfilon main hoon......
Mujhsay bichar k tu b royegi umer bhar......
Yeh soch lay k main b teri khwahishon main hoon......
Tu hans rahi hai muj pay mera haal daikh kar......
Or phir b main shareek teray qehqahoon main hoon......

------------------------

Teray Naam ki thi jo roshni

Teray Naam ki thi jo roshni,
Usay khud he tu ne bujha diya
Na jala saki jisay Dhop bhe,
Usay chandni ne jala diya
Main Hon gardishon main ghirra hova,
mujy aap apni khabr nahi
Wo jo shaks tha mera rahnuma,
usay raaston main ganwa diya
Jo teri nazar me ajeeb tha,
Wohi shakhs tera habib tha
Tery hath ki wo lakeer tha,
Usay hath se hi mita diya
Mujy ishq hai k janon hai,
abi faisla nahi ho ska
Mera naam zenat-e-dasht tha,
mujhy andhiyon ne mita deiya

----------------------

Zamane se suna tha k mohbat haar jati ha

Zamane se suna tha k mohbat haar jati ha
jo chahat ik tarf ho wo chahat haar jati ha
kahin per dua ka 'ik lafz' b asar kar jata ha,
kahin barsön ki ebadat har jati hai.
muhabat kab kisi ko dushmani ka dars daiti hai,
muhabat ki bazi main adawat har jati hai,
humain kitny bhi shikway hon uski jafaon sy,
par us k samny her shikayat har jati hai,
ik arzo si hai k usko bhol jain hum,
par uski yad atay hi har hasrat har jati hai...

-----------------------------

Jab dil to tumhara apna ho

Jab dil to tumhara apna ho,
Par batain sari meri hon,
Jab khushbo meri aati ho,
Or sansain tumhari apni hon,
Jab had darja masroof ho tum,
Main yaad achanak aa jaön,
Jab ankhain neend se bojhal hon,
Tum mujh ko paas hi pao to,
Phir khud ko dhoka maat dena,
Or mujh se aa kar keh dena..
"Haan Dil Ko Muhabbat Hai Tum Se"

-------------------------

Itna toota hon k chonay se bikher jaon ga

Itna toota hon k chonay se bikher jaon ga
Ab agar aur azmao gay to mar jaon ga
Phool reh jain gay faqat guldanoon ki nazar
Main to khushbo hoon hawaoon main bikher jaon ga
Ek aarzi musafar hon main teri kashti main.
Tu jahan muj se kahay ga main uter jaon ga
Hath pakro gay to saya ban k sath rahon ga.
Hath choro ge to hamesha k liye bicher jaon ga

-----------------------------

Ye jo zindagi ki kitab ha

Ye jo zindagi ki kitab ha,
ye kitab be kia kitab ha,
kahin ik Haseen sa khowab hai,
kahin jan Leva azab ha..
Kahin ansoon ki hai dastan,
kahin muskrahton ka bayan hai...
Kahin chehra is mein chupa huwa,
kahin ek ajab sa naqab hai...
Kahin kho dea kahin paliya,
kahin Rooliya kahin hans lia...
Kahin cheen lati har khoshi,
kahin mahrban bay hisab hai...
kahin chahwon hai Kahin Dhoop ha,
kahin or koi Roop hai...
Kahin Barkaton ki Barishen,
kahin Tishnagi bay hisab hai...
ye jo zindagi ki kitab hai...
Ye kitab be kya kitab ha.

------------------------

Uss Simt ko chaltey ho to itna usey kehna

Uss Simt ko chaltey ho to itna usey kehna.
Ab koi nahi harf_e_tamanna usey kehna..
Tum ney he kaha tha to yaqeen mujh ko howa tha.
Chahat nahi hoti kabhi ruswa usey kehna..
Duniya to kisi hal mey jeeney nahi deyti.
Umeed pey qayam hai yeh duniya usey kehna..
Zarkhez zameney kabhi banjar nahi hotein.
Daryaa he baddal letey hain rasta usey kehna...
Kuch log safar key liye mozoon nahi hotey.
Kuch rastey kat-tey nahi tanha usey kehna..!!!

-----------------------------

Mujy miti k ghar bananay ka shoq tha...

Mujy miti k ghar bananay ka shoq tha...
Usay aashianay giranay ka shoq tha...
Mein khud se rooth jata hoon aksar is liye...
Mujy roothay huay log mnanay ka shoq tha...
Usay wadon ki pasdari pasand na thi...
Lekin mujy vaday nibhany ka shouq tha...
Main masroof tha tanhayon ki talash mein...
Usy logoN se milne milany ka shouq tha...
Wo bewafa tha is mein hairat ki bat kya hai...
Mujhay b bewafa se dil lganay ka shouq tha.

----------------------------

Jab guzar jaye gi bahar to kia karo gay

Jab guzar jaye gi bahar to kia karo gay,
Yad aye ga mera pyar to kia karo gay,
Sataty ho aise jaise ajnabi hon may,
Jab roth gay tum se yar to kia karo gay,
Apnao gay kisi or ko mujhe tanha chor kr,
Usay hoga na tum se pyar to kia karo gay,
Akhir lout aao gay tum meri rahon pe,
Phir mile ga na pehla sa pyar to kia karo gay,
abhi to hanste ho meri wafaon pe tum,
phir rona bhi hoga be kaar to kia karo gai

------------------------------

Sochta hon k usay haal-e-dil tmam likhon

Sochta hon k usay haal-e-dil tmam likhon
Usk bin boht hai udas sham likhon
Main us se puchon khan tak chalo gay sath mere
Phir us makam ko jeevan ka ikhtetam likhon
Khud bana leta hai ye piyar hawalay sare
Us k ehsas ko main kitna b bay naam likhon
Jurm mera hai jo pyar kia hai usse

----------------------------

Parakhna mat parakhne se koi apna nahi rehta

Parakhna mat parakhne se koi apna nahi rehta
Kisi bhi aainey mein der tak chehra nahi rehta

Bare logon se milnay mein hamesha fasila rakhna
Jahan dariya samandar se mila darya nahi rehta

Tumhara shehar to bilkul naye andaaz wala hai
Hamre shehar mein ab koi hum sa nahi rehta

Koi baadal naye mausam ka phir elaan karta hai
Khizaan k baagh mein jab ek b patta nahi rehta

Mohabbat ek khushbu hai hamesha saath rehti hai
Koi insaan tanhai mein bhi tanha nahi rehat

--------------------------------

Ghar Say Nikle Thay Hosla Kar K

Ghar Say Nikle Thay Hosla Kar K
Laut Aye Khuda Khuda Kar K
Darde Dil Paogay Wafa Kar K
Humne Dekha Hai Tajurba Kar K
Zindegi To Kabi Nai Aai
Maut Aai Zara Zara Kar K
Log Sunte Rahay Deemag Ki Batt
Log Sunte Rahe Deemag Ki Batt
Hum Chale Dil Ko Rehnuma Kar K
Kisne Paya Sukun Duniya May
Zindgani Ka Samna Kar Kay

-----------------------------


"AJNABI"

Man Use Kse Akela Chore Don
Is Rah Ma Sath jo Chalta Raha
Majborion K Bad B Ban K Khushbo
Rach Gya Hai Yun Mare Ehsas
Ma Dor Ho Paya Nai Wo Dorion K Bad B
Rafta Rafta Osko B Ye Dunya raas aa Gai
Muskra K Wo Mila Ha Ranjishon K Bad B
Fasle Kb Kam Hoai Han Rabton K Bad B
Ajnabi Thay Ajnabi Han Mohabbaton K Bad B

-----------------------------

No comments: